Saturday 5 August 2017

Google Gmail Pe Email Account Kaise Banaye Jaane Aasaan Tarike

Email id kaise banaye??? Email ID hona aaj kal optional nahin hai. Agar aap bank account kholne jaaye, gas connection ke liye apply kare ya aisa koi bhi seva to aap ke telephone number ke saath aap ka email ID bhi maangte hai. Isiliye agar aap ne abhi tak apna email ID nahin banaya hai to bana le. Email account kaise banaye yeh jaanne ke liye aage padhiye.

Google Gmail Pe Email Account Kaise Banaye Jaane Aasaan Tarike


Bilkul aasaan hai. Agar aap computer aur internet ke baare mein jyaada nahin jaante hai to bhi yeh aap ke liye kathin nahi hai ki email account kaise banaye.  Yaha bataye gaye steps follow kare aur kaam ho jaayega. How to make email id in hindi mein saral steps bataye gaye hai jo computer nahin jaanta hai voh bhi aasani se kar sakega.  Kisi ko poochne ne nahin jaana padega ki email kaise banate hai.
Kahan par aap email account bana sakte hai?

Free mail sites to kai hai email id banane ke liye. In mein se jyaada lokpriya hai yahoo, gmail, outlook, mail.com aur rediffmail.com. Sabse adhik lokpriya hai gmail. Gmail mein register kar ke email account banane mein doosra fayda yeh hai ki aap youtube, google+ aur aise aur seva mein bhi automatically register ho jaate hai. To yahan gmail.com par apna email account kaise banaye yeh hum aap ko batayenge. Gmail mein email id banana hai ya to yahoo par to steps ek jaise hote hai. Ek jagah par ap jaan gaye ki email id kaise banate hai to doosre email website par aap bana payenge. Gmail par email address kaise banaye yeh ek baar jaan le to phir aap yahoo ya rediff ya aur koi bhi free email website par email address kaise banaye yeh prashn aap ko pareshan nahin karega. 

Email kaise banaye yeh ab aap shuru kare is tarah se:-


Pehle to aap apna computer on kare aur is mein internet connection on kar de.
Ab aap browser launch kare. Mozilla Firefox, Chrome ya Internet Explorer main se koi bhi chalega. Email id kaise banta hai voh janne ke liye yeh pehla kadam hai.

Step 1-

  • Oopar website address ke liye jagah hai. Yahan par mouse leja ke click kare. 
  • Ab is jagah par type kare “Gmail.com”
  • Ek window khulega jis main aap ko dikhai dega 
  • “Sign in to continue to Gmail”
  • us ke neeche khali jagah hoga jahan par jinke email account already hai voh email id aur password enter kar sakte hai. Kyonki aap naya account bana rahe hai to us ke bhi neeche ek link hai “Create an account”.  Is par click pare. 

Step 2-

  • Ab ek screen dikhai dega jis main aap ko khaali jagah bharne honge. Naam mein aap apna naam likh de. User name mein aap apna naam chune aur likhe. Agar vohi naam ka gmail account hoga to aap ka naam register nahin hoga isiliye user name mein aap ka naam aur is ke peeche koi bhi aankde jod de. Ab aap password ki jagah par ek password likhe jo 8 ankde ka ho jis mein character yaane ki abcd ho sakte hai aur numeral yaane ki ankde ho sakte hai. Jyaada se jyaada 13 character ka password hona chahiye jis mein character aur numeral dono ho to secure mana jaata hai. 
  • Ab confirm password mein theek isi tarah vohi password phir se likhe. Yaad rahe ki agar aap ne capital mein likha hai to capital mein hi likhe aur small abcd ka upyog kiya go vaisa hi kare aur is password ko apne diary mein likh ke rakhe. 
  • Birthday mein janam taarikh likhe
  • Mobile phone number likhe.
  • Kyonki aap ka koi email address nahin hai isiliye “your current email address” khaali rakhe. 
  • “Skip verification” mein box hai use check yaane ki us mein nishan dikhna chahiye. 
  • “I agree to Google Terms of Service” ke baaju ke box mein click kare
  • Next step par click kare. 

Step 3-

  • Aap padh rahe hai ki email id kaise banate hai gmail par. Ab aap ke saamne ek screen khulega jis mein Verify your account likha hoga. 
  • Phone number ki jagah par aap ka phone number likhe
  • Is ke neeche How should we send you codes” mein text message ya voice call pe click kare. 
  • Text message select karna behtar hai. 
  • Ab “continue” button par click kare.

Step 4-

  • Google aap ke phone par ek sms bhejega. Is SMS mein verification code hoga. 
  • Continue click karne par ek screen khulega: 
  • Is mein hoga khaali jagah jis mein aap ko sms dwara paaye gaye verification code ko type karna hai. 
  • Ab “Continue” button par click kare.

Aap ka gmail account ab taiyar ho gaya hai...
Browser mein gmail.com type kare ya to aap ke saamne khule page mein log in kare.  Jo email id aap ne chuna hai aur password chuna hai use enter kare aur log in kare.

Aap ne dekha hai ki email account kaise banaye bilkul simple hai. Aur koi bhi email site yaane ki yahoo ya rediffmail mein bhi process is se milta julta hai.

Dosto., Ye post aapko kaisa lga., please apna feedback cooment me zarur de., or agar aapke pas bhi koi intresting valuble hindi post hai to hme email me bheje, hum aapke post ko HindiBhandar me shamil krenge.. Thank you. :)

Share this

0 Comment to "Google Gmail Pe Email Account Kaise Banaye Jaane Aasaan Tarike"

Post a Comment