Saturday 2 December 2017

ये है बादाम तेल के असरदार फाय्दे ज़रूर जाने | Almond oil benefits in Hindi

Almond oil benefits in Hindi : Buddhi badhana hai to badam khaao, yeh salah hamesha diya jaata hai. Badam sirf buddhi ke liye hee nahin balke sare sharir ke liye paushtik sabit hua hai. Badam mein se milenge fats, proteins, niacin, vitamin b, riboflavin, magnesium, manganese, zinc, phosphorus, thiamind, folate, potassium aur phytoesterols jaise ki campesterol aur stigmasterol jo cholesterol kam karte hai. Khaas kar ke badam ka tel hai voh bahut hi gunkari hai. Badam mein se omega 6 fatty acid, linoleic acid aur Vitamin E milte hai. Badam mein se aap ko milega reseveratrol jo dil, diabetics aur cancer ke liye upyogi hai; catechin jo antioxidant hai; epicatechin jo dimag aur dil ke liye faydakarak hai, kaempferol jo antioxidant hai aur quercetin jo anti-bacterial aur anti-inflammatory hai. Aaiye jaaniye badam ke tel ke fayde aur badam ke tel ke upyog. 

ये है बादाम तेल के असरदार फाय्दे ज़रूर जाने

जाने बादाम तेल के चमत्कारी फायदे:-



  1. बादाम के तेल के फायदे paane ke liye shuddh badam ka tel ka istemal kare. Badam ko bhigo ke khaayenge to bhi badam ka tel aap ke sharir mein shaamil hoga aur aap ko yeh fayde milenge:
  2. Badam tel se dil sambandhit bimaryio se aap rahenge surakshit. Is mein rahe antioxidants dil ko majboot banaye rakhte hai aur saath mein magnesium, manganese aur potassium bhi sahayak hote hai.
  3.  Badam tel mein rahe vitamin E tvacha ko mulayam aur sada jawan rakhta hai. Vitamin E se aap ke kesh bhi tandurast, mulayam aur ghane bane rehte hai.
  4. Badam tel diabetics ke liye atyant faydakarak hai kyonki yeh blood sugar ko niyantran me rakhta hai.
  5. Vajan kam karne ke liye badam tel uttam aushadh hai kyonki is se bhook jaldi nahin lagta hai.
  6. Badam tel ko daanto aur masudho par ghisne se yeh majboot ban jaate hai.

Sabse achcha बादाम तेल के लाभ yeh hai ki badam tel se pachan kriya majboot ho jaata hai aur khurak mein rahe poshan ka avshoshan karne mein behad sahayak hote hai.

Badam tel ka upyog :-

बादाम के तेल का उपयोग kaise kare alag paristhiti mein yeh ab jaaniye.


  1. Kabz ki shikayat ho to badam tel do bade chamach har roj savere khaali pet kar le to jaroor fayda hoga kyonki yeh tel rechak hai.
  2. Weight control karna chahte hai to dopahar ko bhojan ke badle salad khaaye jis mein ho fal, hari patte vali sabji, pyaj, hara mirch, kakdi, gajar, beet aur paneer. Is ke upar do chamach badam ka tel chidak de. Badam tel se bhook nahin lagega lambe samay tak aur pachan tantra sudharne par metabolism bhi tej ho jaane ke kaaran fats burning hone lagenge.
  3. Pet ki samasya ho to dahi mein badam ka tel ek chamach aur jeera powder daal ke khaaye aur dekhe kaise cholesterol bhi kam hota hai aur pachan sudhar jaata hai.
  4. Badam tel ko shardiyon mein tvacha aur honth par lagane se cracks nahin hote hai aur tvacha mulayam aur hara bhara rehta hai. Daag dhabbe par bhi badam tel aur haldi lagaya jaaye to yeh mit jaayenge.
  5. Baalo ko lambe karne ke liye hair oil mein badam tel avashya mix kar ke lagaye.

Badam tel uttam hai kyonki is mein calcium oxalate, jo badam mein maujood hota hai, tel mein nahin aata hai aur aap jyaada bhi istemal kar sakte hai. Badam jyaada khaaye to oxalate se kidney stone yaane pathri ho sakta hai.

Dosto., Ye post aapko kaisa lga., please apna feedback cooment me zarur de., or agar aapke pas bhi koi intresting valuble hindi post hai to hme email me bheje, hum aapke post ko HindiBhandar me shamil krenge.. Thank you. :)


TAGS : #almond benefits in hindi #badam ke fayde #badam tel for skin in hindi #badam rogan oil for face in hindi #badam rogan ke fayde in hindi #how to use almond oil on face at night #badam oil ke fayde in hindi #badam rogan oil for babies #badam oil benefits for face #almond oil benefits, #बादाम तेल के असरदार फाय्दे, #बादाम तेल के फाय्दे, #बादाम तेल के फाय्दे

Share this

0 Comment to "ये है बादाम तेल के असरदार फाय्दे ज़रूर जाने | Almond oil benefits in Hindi"

Post a Comment