Showing posts with label Hindi Essay. Show all posts
Showing posts with label Hindi Essay. Show all posts

Saturday, 2 December 2017

Most Powerful Vashikaran Mantra : वशीकरण के आसान मंत्र

Vashikaran mantra in hindi : Vashikaran yaane ki kisi stri ya purush ko aap ke vash mein kar lena. Prem ek karan hai. Doosra hai ki aap kisi ko vash mein kar ke us par apna haq jamane chahe. Agar aap kisi ko bahut hi chahte hai magar woh vyakti aap ko reciprocate na kare to samanya tarike kaam nahin karenge. Aise samay par vashikaran mantra in hindi (वशीकरण मंत्र) apnaye aur dekhiye jaado kaise chal jaata hai aur wo vyakti kaise sammohit hota hai.

Most Powerful Vashikaran Mantra : वशीकरण के आसान मंत्र

Yeh tantrik kriya hai isliye niyamo ka palan karna jaroori hai. Aise to kai vashikaran mantra hai aur aap kai devi jaise ke baglamukhi ka jaap aur tap kare to man chaha paa sakenge magar yeh kaam mushkil hai. Vashikaran mantra (वशीकरण मंत्र) thoda sa aasaan hai. To aaye dekhe alag alag mantra aur vashikaran karne ka tarika hindi me.



Vashikaran Mantra (वशीकरण मंत्र) in Hindi for Lady:-


Yeh hai ladki ko vash me karne ka mantra:
  •     “Om Hrim Namah”
  •     “Om Chem Hrim Hrim aam ham swaha”

In do mein se koi bhi mantra stri ko akarshit karne ke liye hai.
Lal vastra pehne nahne ke baad aur kumkum ki mala gale mein latkaye. Yeh jaap ek hazaar baar kare ek saptah tak. Jap karte samay us stri ko dhyaan mein rakhe jo aap ka lakshya hai. Us ke baad roj hazaar baar yeh jap kare aur dekhiye wo kaise sammohit ho jaati hai. 

Vashikaran Mantra in Hindi for Men:-


    “Om Hreen Kreem Amukam akarshay vashyam kuru kuru swaha”

Ek shubh din par kumkum, chandan, kesar aur neem ke patto ka mishran banaye aur bhoj patra ke upar gude ka chitra banaye. Khadsopchar vidhi se pooja karna chahiye. Neem ka lakdi le aur hawan kare ghee dalte hue aur mantra ka upchar kare. Gugul ka dhoop bhi kare. Ghee, phool aur gugal ki 110 ahuti kare. Stri ya purush ko dhyaan mein rakhe mantra jap karte samay. Name se vashikaran bhi kiya ja sakta hai.
    “Om Bhra Bhra Bhu Bhairav Swaha, Om Bhan Bhan Bhan Amuk Mohnaya swaha”

  1. Pehle saat baar is mantra ko padhiye. Phir Peepal ke patte par likhe. Jis vyakti ko vashikaran karna hai us ke ghar ke peechwade mein patte ko gaadh de. Aisa nahin ho sakta hai to us ke ghar ke andar daal de.
  2. Poore sabha ko vash mein karna ho to yeh vashikaran mantra apnaye.

    “Kalu muh dhodar karu salam mere nan
    Surma base jo nirkhe so payen pade
    Gosul aajam dastgir ki duhai”

Poore sabha ko vash mein karna ho to yeh mantra apnaye. Shukrawar ke din 125000 gehu ke daane le aur harek daana haath mein rakh ke mantra padhe aur phoonk mare. Aadhe gehu ka atta banake halwa banaye aur phir gausal aajam ko bhog lagaye. Thoda sa khud khaaye. Phir mantra saat bar padh kar aankho mein surma lagaye. Ab aap koi sabha mein jaaye to sabhi log ek saath vash mein ho jayenge.
Vashikaran Mantra for Husband in Hindi


Ab pati ko vash me karne ka totka janiye:-


    “Om Asy sri sundrimantra swarth varn
    Risi iti swhipas swaha”

Stri apne pati ko is mantra dwara vash kar sakti hai. Roj 108 baar is mantra 108 din take jap kare. Pati vash mein rahega aur patni sukhi hogi.
Most Powerful Vashikaran Mantra

Yeh hai premi ko vash me karna ka mantra:-


    “Om namoh bhagwate kamdevay yasya yasya dashyo bhavami
    Yasach yasach mam much paschyati tat a mohyatu swaha”

Yeh mantra ki ko apne taraf akarshit karne ke liye hai.  Roj 1008 bar jap kare. 90 din ke andar jis ko dhyaan mein rakha hai who aap ke taraf akarshit hoga ya hogi. Photo se vashikaran in hindi mein bata rahe hai usmein bhi yahi mantra ka jaap kiya ja sakta hai.

Vash me karne ke totke in hindi: Mantra na kar sake to totke hai, jaise ki choti elaichi, kangani, kakdisingi, sindoor, lal chandan ka mishran karke dhoop kare to stri ko yeh dhoop dene se woh vash mein ho jaayegi.

Dosto., Ye post aapko kaisa lga., please apna feedback cooment me zarur de., or agar aapke pas bhi koi intresting valuble hindi post hai to hme email me bheje, hum aapke post ko HindiBhandar me shamil krenge.. Thank you. :) 

TAGS : #kamdev vashikaran mantra in hindi #stri vashikaran mantra hindi me #sidh vashikaran mantra #pati vashikaran mantra #powerful vashikaran mantra #mohini vashikaran mantra #vashikaran mantra in hindi for men #vashikaran mantra for love marriage #vashikaran mantra by name in hindi #vashikaran mantra for wife #simple vashikaran mantra in hindi #pati vashikaran mantra hindi language #vashikaran mantra for love back #most powerful vashikaran mantra #love vashikaran mantra

Saturday, 5 August 2017

Kaise Dale Subah Jaldi Uthne Ki Aadat Tips aur Tarike

Ayurved mein, granthon mein aur dharmo mein yeh  baat pathar ki lakir par likhi gai hai ki savere, suraj ugne se pehle hi aap uthke pooja kare, dhyan kare, yog kare ya phir kaamshuru kar de. Savere jaldi uthne mein kai laabh hai aur har ek aadmi ki koshish yehi honi chahiye ki voh suraj ke kirano se pehle hi neend mein se bahar aake raj ka program shuru kar de. Itihas mein dekhiye.

Bahut saare successful logo ki aadat hai ki voh 5 baje hi uth jaate hai. Aaj ke jamane mein savere jaldi uthna shayad mushkil hai magar asambhav nahin hai. Jo job karte hai voh late se ghar aate hai aur phir relax hote hai to raat ke 12 to yoon hi baj jaate hai. Students ka life bhi aasaan nahin hai. Homework aur assignments complete karne ke liye raat ko der tak jagna padta hai. To phir kaise daale aadat savere jaldi uthne ki? Padhte rahiye aur aajaamaye yeh tarike to phir aap bhi jaldi uthne ke aadi ho jaayenge. 
Kaise Dale Subah Jaldi Uthne Ki Aadat Tips aur Tarike


Jaldi uthne ka matlab yeh to nahi hai ki aap late se so jaaye aur alarm 5 baje ka rakhe. Is se aap ko neend kam milega aur din bhar aap ka efficiency down ho jaayega. Kam se kam 7 ghante ki neend jaroori hai. Jaldi uthne ke liye jaldi so jaana chahiye. Theory mein 10 PM ko so jaana chahiye aur 5 ya 6 baje uthna chahiye. Practice mein yeh aasaan nahin hai. Agar aap ko aadat si ho gayi hai ki aap raat ke 12 ya 1 baje so jate hai to 10 baje sone jaayenge to neend hi nahin aayegi.

Is ka karan hai ki har ek insaan ka sleep rhythm set ho jaata hai aur use badalne mein samay lagta hai. Jinhone videsh yatra ki hai voh jaante hai ki jet lag kya hota hai. Ek aur mushkili yeh hai ki har ek insan ka genetic coding hota hai. Kai log genetically aise programmed hote hai ki voh jaldi so jaate hai aur jaldi uth jaate hai. Kai logo ka efficiency raat ko hi badhti hai aur unhe raat ke 3 baje tak jagne mein koi taklif nahi hoti hai. To phir kya kare savere jaldi uthne ke liye aur neend bhi poora kar le?


   # Alarm set kare

Agar aap 8 baje uthe hai to 7 baje ka alarm rakhe. Svabhavik hai ki agar aap doosre din jaldi uthenge to neend bhi jaldi aayegi. Jaise jaise samay pasar hota hai to alarm aur bhi jaldi ka rakhiye. To dheere dheere aap 5 baje ko uthne ka lakshya hasil kar sakenge. Aap ka sleep pattern automatically badal jaayega aur aap ko raat ko neend bhi jaldi aa jayegi.  Alarm ke bajte hi uth khada ho jaaye, kabhi bhi 5-10 minute aur kar ke sote na rahiye. Har 15 dino ke baad alarm ka time aur jaldi uthen ke liye set kare to 7 baje se dheere dheere aap 5 baje tak pahunch jaayenge.

   # Khule mein so jaaye

Garmiyon main logo ko aadat hai ki terrace par so jaate hai. Surya ki pehli kirane pragat hote hi aankhe khul jaati hai. To aap yeh prayog winter mein bhi try kare to khud jaldi uthne ki aadat ho jaayegi.

   # Apne aap ko motivate kare

Benjamin Franklin ne kaha hai “Early to bed and early to rise makes a man healthy, wealthy and wise.” Agar aap wealth ko jyaada importance nahin dete hai to wisdom aur health ko hi wealth samajh le aur apne aap ko motivate kare. Doosre din ke liye time table set kar le ki jaldi uth ke aap ko kya karna hai. Important kaam shuruaat ke liye rakhiye. Early morning walk ya jogging ke liye jaane bhi health ke liye achcha hai to use ja chuke. 


   # Apne aap ko reward kare

Savere ke liye aise kam nirdharit kare jis ko karne mein aap ko umang hai aur jaise jaise aap jaldi uth paate hai to apne aap ko reward kare. Jaldi uthen mein health ko jo fayda hai vahi sabse bada benefit hai yeh aap nazar andaz na kare.

   # Group join kare ya kisi friend ke saath appointment rakhe

Savere uthke aap walk par jaaye to garden mein koi group bana le aur roj niyamit milne ka vaada kare. Group na ho to koi ek friend ko saath rakhe aur us ko promise kare ki aap use nischit samay par milenge. To yeh ek motivation hoga ki aap jaldi uthe.  Ek aur baat: savere uth ke chai ya coffee peene ke liye jyada samay na bigade. Kai log coffee peete peete newspaper padhte hai to yeh negative hai. Activity mein lag jaaiye jaise ki coffee peene ke baad turant walk pe jaaye ya aur koi activity karne lag jaaye.  Agar koi friend saath na de to ek kutta paale jise roj uthke aap savere hi khaana denge. Kutta khud aap ko jagane aa jaayega.

   # Neend Poora Le

Jaldi uthne ke liye jaldi so jaana bhi jaroori hai. Tabhi so jaaye jab aap ko neend aati hai. Agar aap thak gaye hai to sharir khud hi signal dega aur aap ise ignore mat kariye. 7 ghante se 8 ghante ki neend avashyak hai. Aadat jo ho jaaye jaldi uthne ki to aap jaldi se so bhi jaayenge. 


   # Lifestyle badlav

Jaldi sona hai to phir sham ka bhojan bhi jaldi hi le lena chahiye kyonki khaa ke turant so jaana sehat ke liye hanikarak hai. Shaam ke samay coffee ya chai ka sevan na kare aur ek healthy lifestyle apnaye to apne aap aap ko samaysar neend aa jaayega. TV na dekhe kyonki is ka light aap ko disturb karega. Aise hi mobile aur tablet par koi kaam na kare. Time pass karne ke liye koi kitab padhe. Light ko dim rakhe aur agar streetlight ki roshni aati hai kamre mein to parde laga le. Andhera khud ek signal hai aap ke body ko so jaane ke liye. Kudrat mein dekhiye sabhi pakshi andhera hote hi so jaate hai.

   # Din mein sone ka taale

Din mein kabhi bhi sona nahin chahiye, chutti ke dino mein bhi. Aap ne aisa kiya to raat ko neend deri se aayegi. Agar thakan mehsoos ho to 5-10 minute ke liye khursi mein hi baithe apne aankh bandh kar ke rest kare.

Ek hi din mein badlav nahi aata hai. 3 mahine ke liye koshish kare to aap ka jeevan badal jaayega. Jo jaldi uthte hai un ka kehna hai ki unka efficiency badh gaya hai aur voh jyaada kuch kar paate hai.


Dosto., Ye post aapko kaisa lga., please apna feedback cooment me zarur de., or agar aapke pas bhi koi intresting valuble hindi post hai to hme email me bheje, hum aapke post ko HindiBhandar me shamil krenge.. Thank you. :)

Job Interview mai safal hone ke 10 Tips

Hello Dosto., Aapne padhai khatam kar li hai aur ab aap job ke liye taiyar hai. Kya aap sachmuch taiyar hai? Job milne ke pehle aap ko arji karna hai aur interview mein jaane hoge aur agar yaha par aap kamyab hai tabhi aap ko job milega. Aaj ke zamane mein ek job ke liye ek hazar arajdaar hote hai to aap kaise prayas karenge ki aap ko hu chuna jaaye? 

Job Interview mai safal hone ke 10 Tips


Interview isiliye hote hai ki company sab se uchit candidate ko chune aur company ko fayda ho. Is baat ko aap ko hamesha dhyaan mein rakhna chahiye. Jab aap interview ke liye jaaye to aap ko vahan par jo interview leta hai us ko convince karna hoga ki aap hi sab se uchut arajdar hai. Yeh to tab hoga jab aap ko interview ke liye bulaya jaaye. Interview mein aap ka number lage is ke liye aap ko sahi application karna hoga jis mein aap apna resume ya CV banayenge aur us ke saath cover letter hoga. 


   # Resume sahi banaye

Resume yaane CV sahi hona chahiye. Yeh glati na kare ki ek standard resume bana ke sabhi ko vohi bhejte rahe. Company ke baare mein jaane aur uske anuroop CV banaye. Resume savdhani se banaye aur aise format kare ki padhne mein aasani ho aur aap ke mukhya achievements us mein turant dikh aaye. CV ke saath ek cover letter bhi jaroori hai aur yeh bhi har ek company ke liye personalize kar ke CV ke saath jode. Is ke aadhar par hi aap ko interview mein bulaya jaayega isliye jitna ho sake itna professional look de. Yeh dhyan mein rakhe ki language sahi ho aur grammatical mistake na ho. Kisi aur se apna CV check karva le to aap jo ko kami nahi dikhai diya hai voh unhe dikh jaayega aur sudhar hoga. Ab aap ke interview ke chance badh jaayenge to interview ke liye taiyari kare.

   # Naukri sambandhit jaankari

Aap jis position ke liye arji kar rahe hai us ke baare mein aap ko poora knowledge hona chahiye. Interview mein aap se job sambandhit prashna kiye jaayenge isliye poori taiyari kar le. Aap kaise jawab dete hai us par bahut kuch nirbhar karta hai. 


   # Apna dress aur huliya sudhare

Interview mein jaane ke liye dress sahi hona chahiye yaane ki formal. Shirt, trousers, shoes matching pehne aur kabhi bhi casual jeans ya t shirt mein interview ke liye na jaaye. Apne baalo par dhyan de aur agar jyaada lambe hai to hair cut karva le. Interview ke din achchi tarah se shave kare aur “presentable” ban jaaye.

   # Apne aap ko Employer ki drashtikon se dekhe

Apne aap ko employer ki jagah rakhe aur sochiye ki kin savalo se aap yeh jaanenge ki candidate uchit hai ya nahin. Job ke liye aap uchit hai ya nahin yeh kaise jaanenge yeh sochiye. Employer yeh dekhta hai ki aap kitne haazir jawabi hai, aap ka confidence level kya hai, aap apne experience ko kaise pesh karte hai aur aap team mein achchi tarah ghul mil jaayenge ya nahin. 


   # Prashno ka jawab


Interview mein common questions hote hai aur aap ko in savalo ke liye jawab taiyar karna hai. Interviewer aap se poochega:
  •     Aap apne present job ke baare mein bataye.
  •     Apne baare mein kuch bataye.
  •     Aap ne aisa kya kiya hai jis se aap ko garv hai?
  •     Aap ko yeh company aur yeh job chunne ka karan?
  •     Apna haal ka job aap kyon leave karna chahte hai?
  •     Apke kamjori kya hai aur strengthkya hai?
  •     Aap ne yeh career path kyon chuna?

Aise kai aur saval aap se pooche jaayenge. In savalo ka sahi uttar taiyar kare. Jaise ki agar aap ko pooche ki aap apna haal ka job kyon chod dena chahte hai to company ki ya boss ki burai na kare magar aisa kahe ki aap aur challenging job dhoondh rahe hai jahan aap ke skills ka pur upyog hoga.

   # Dimag mein interview ka scene ka kalpana kare

Mind mein poora kalpana kar le ki interview mein kya ho sakta hai aur aap kaise pesh aayenge. Jab se aap interview room mein dakhil hote hai aur interviewers ko greet karte hai tab se leke interview khatam hote hi aap kaise interview se vidai lenge, in sabhi baato ko dhyan mein rakhe. Yeh bhi soch le ki interview ke din aap ko kitne baje taiyar hona hai aur kitne baje hazir rehna hai. 


   # Mirror ke samne practice

Mirror ke samne baith ke aap yeh sochiye ki samne interviewer baitha hai. Ab aap saval taiyar kariye aur apne aap se poochiye aur jaba ap jawab dete hai to mirror mein nirakshan karte rahiye to aap ko pata lag jaayega ki aap kaise lag rahe hai. Agar koi friend hai to use interviewer bana le aur uski raai jaane.

    # Body language

Interview ke dauran interviewer aap ko dekhega aur aap ka body language bhi nirakshan karta rahega. Isiliye interview room mein dakhil hote hi sahi dhang se pesh aaye aur apna nervousness zahir na hone de. Khursi mein upright baithe aur haath pair hilate na rahiye. Yeh impression jaamaye ki aap job mein bahut hi dilchaspi rakhte hai. Body language se yeh pragat kare ki aap ka confidence level kitna hai. Relaxed tarike se jawab dene mein interviewer jaan lega ki aap self-confident hai. Dull awaz mein jawab na de balki aawaaz mein enthusiasm rakhe.

    # Company ke baare mein jaaniye

Jis company mein aap interview dene jaa rahe hai us company ke baare mein puri jaankari haasil kare to interview dene mein aap ko aasaani rahegi.

    # Jawab sach dena

Interviewer aap ko kai saval karega. Har ek saval ka sahi jawab de aur sahi jawab nahin malum hai to yeh keh de ki aap ko maalum nahin hai, magar kabhi bhi galat jawab ya contradictory jawab na de. Aisa karne mein aap ka impression down hoga. 


    # Language of interview

Kai company mein interview ki bhasha angrezi hi hoti hai. Agar aap is mein nipun nahin hai to pehle se hi interviewer ko bata de aur voh aap ko Hindi mein ya local language mei hi baatchit karega. Agar aap ko bhasha par kabu nahin hai to aap sahi tarah se jawab nahin de payenge aur impression down hoga.

Is ke alava interview mein aap ko chance diya jaayega saval karne ka to sahi saval pooche jaise ki company kyon candidate pasand kar rahi hai, team mein aap ka kya role hoga, aap ko training milega aur aap aage badh sakenge aur yeh bhi poochiye interviewer se ki unki rai kya hai company ke baare mein. Kabhi bhi promotion ka ya salary ka pehle se na pooche.


Dosto., Ye post aapko kaisa lga., please apna feedback cooment me zarur de., or agar aapke pas bhi koi intresting valuble hindi post hai to hme email me bheje, hum aapke post ko HindiBhandar me shamil krenge.. Thank you. :)

Thursday, 9 March 2017

Hindi Bloggers के लिए सबसे बड़ी ख़बर

Friends, आज  Hindi Bhandar पे  मैं  आपके  साथ  एक बहुत  बड़ी  खबर  share कर  रहा  हूँ . हो सकता है कुछ लोग पहले से इसके बारे में जानते हों , पर जो नहीं जानते उन्हें इस खबर से ज़रूर ख़ुशी मिलेगी।
5 Dec, Friday  को  मैं  एक  web page check कर  रहा  था  , इस  पेज  को  मैं  पिछले  चार  सालों  से  कई  बार  देख  चुका  था ….कई  बार  इसलिए  क्योंकि  मुझे इसपर  एक  ख़ास  ‘शब्द’  के  लिखे  जाने  का  बेसब्री  से  इंतज़ार  था , हर  बार  मैं  देखता  और  हर  बार  वो  शब्द वहां  नहीं  होता , मैं  थोड़ा  उदास  होता  पर  फिर  अपने  काम  पर  लग  जाता  कि  एक  दिन  ये  इंतज़ार  ज़रूर  ख़त्म होगा … और  Friday को यही  हुआ …. मेरा  और  मेरी  तरह  के  हज़ारों  Hindi Bloggers का  इंतज़ार  पूरा  हो  गया  …

Hindi Bloggers के  लिए  सबसे  बड़ी  ख़बर

इस बार जब मैंने चेक किया तो वहां वह ख़ास शब्द लिखा हुआ था, वो ख़ास शब्द है “हिंदी” , और वो वेब पेज है Languages AdSense supports

जी  हाँ  , Google Adsense अब  Hindi language को  भी  support करने  लगा  है . 🙂 और  ये  सचमुच  एक  बहुत  बड़ी  खबर  है . आप सभी को बधाई !

Below is the page जहाँ  supported languages में  Hindi भी  शामिल  हो  गयी  है :


 I am sure जो  लोग  blogging या  websites से  related काम  करते  हैं  वे  Google Adsense के  बारे  में  ज़रूर जानते  होंगे ,  but for the sake of those who don’t know , मैं  इसके  बारे  में  थोड़ा  सा  बता  देता  हूँ .

क्या है गूगल एडसेंस ?

Google Adsense , Google का  Advertising Program है  जिसमे  register होकर  कोई  website या  Blog owner अपनी  web property (यानि  blogs एंड  websites) पर   ads show कर  सकता  है .

सीधे -सीधे  कहें  तो  Google Adsense Online Money Making के  सबसे  आसान  और अच्छे  तरीकों  में  से  एक  है .  एक  बार  आपको  Adsense approval मिल  जाता  है  तो  Google आपकी  साइट  पर  ads शो  करने  लगता  है  और  जब  भी  वो  ad click होता  है  तो  आप  per click के  हिसाब  से  पैसे  earn करते  हैं .

ये  खबर  इतनी  बड़ी  क्यों  है  ?

क्योंकि  ये  खबर  सीधे   पैसों  से  जुडी  है  और  पैसा  बड़ी  चीज  है . 🙂  आज  Online Hindi content के  कम  होने  का  शायद  सबसे बड़ा  कारण  यही  है  कि  Hindi blogging में  उतना  पैसा  नहीं है , इसलिए  बहुत  से  लोग  इसके  तरफ  attract ही  नहीं  होते  और  जो  होते  वे  पैसों  के  बिना  कुछ  ही  दिनों  में  demotivate हो  जाते . पर  अब  Google Adsense के  Hindi support करने  के  बाद  सम्भवतः  ऐसा  नहीं  होगा , अब  हर  छोटे -बड़े  blogger (in terms of page views)  के  पास  अपनी  Hindi Site Monetize करने  का  एक  सुनहरा  मौका  होगा  and I am optimistic आने  वाले  कुछ  सालों  में  आप  कई  बेहतरीन  Hindi sites और  blogs देख  पाएंगे .

Google Adsense से  कोई  कितना  earn कर  सकता  है  ?

English language की  sites की  बात  करें  तो  कुछ  Indian bloggers अपनी  sites से  हर  महीने  लाखों  में  कमाते  हैं . इस  list में  सबसे  बड़ा  नाम  है  Amit Agarwal का , जिन्होंने  IIT से  पढ़ाई की , मल्टीनेशनल फर्म्स  में  नौकरी  की और  अपनी  जॉब  छोड़  कर  पिछले  10 सालों  से  full time blogging कर  रहे  हैं . उनकी  site है  labnol.org , और  वे  हर  महीने  30-40k USD (* Estimated income, real income may be more or less) यानि  18 लाख  से   24 लाख  रुपये  कमाते  हैं .  और  इस  income का  एक  बड़ा  हिस्सा  Adsense से  आता  है .

अब  Hindi sites कितना  earn कर  पाती  हैं  ये  बताने  में  थोड़ा  वक़्त  लगेगा , पर  एक  बात  निश्चित  है  की  ये  मौजूदा  options की  तुलना  में  कहीं  अच्छा  होगा .

वैसे  Adsense से  होने  वाली  income कई  बातों  पर  depend करती है  ,जैसे  कि
  •     आपकी साइट  का  traffic कितना  है
  •     किस देश  से  कितना  traffic है , USA के  traffic से  सबसे  अधिक  कमाई  होती  है
  •     किस category की  site है , for ex: Finance, Smart Phones, Personal Development, टेक्नोलॉजी, एजुकेशन etc, आम  तौर  पे  फाइनेंस  site की  earning ज्यादा  रहती  है .

 इस  बड़ी  खबर  का  मैं  क्या  करूँ  ?

अगर  आप  एक  Hindi Blogger हैं  तो  obvious  है  आप  Google Adsense के  लिए  apply कर  सकते  हैं . पर  apply करने  में  जल्दबाजी  ना  दिखाएँ  , मुझे  last to last Friday  ही  adsense द्वारा  Hindi support किये  जाने  का  पता  लग  चुका  था , पर  मैंने  एक  हफ्ते  तक  wait किया  और  last Thursday को  apply किया …and Thanks GOD, I got approved. 🙂

Apply करने  से  पहले  इन  बातों  पर  ध्यान  दें :

  •     आपकी साइट  या  ब्लॉग  कम  से  कम 6 महीने  पुराना होना  चाहिए
  •     उसमे आपने  regularly कुछ  न  कुछ  post किया  हो , at least हर  वीक  में  1-2 posts
  •     आपकी साइट  पे  किसी  तरह  का  copyrighted content नहीं  होना  चाहिए , for example किसी  की  copy की  हुई  post
  •     आपकी साइट  पर  कोई  ऐसी  सामग्री  नहीं  है  जो  Google Adsense policy allow  नहीं  करती  , for example Adult/ Porn Content
  •     आपने Google Adsense की  terms and conditions पढ़  ली  हों  (ये  हिंदी  में  भी  उपलब्ध  हैं ), खासतौर  से  वो  चीजें  जो  आपके  approve हो  जाने  के  बाद  भी  आपका  account ban करा  सकती  हैं , for example अपने  ही साइट्स के  ads पर  click करना , जितना  permitted हों उससे  अधिक  ad units लगाना ; etc; चूँकि  Legal Language आम  लोगों  के  समझ  में  कम  आती  हैं  इसलिए  आप  Adsense से  related blogs को  भी  पढ़  कर  इसकी  बारीकियां  समझ  सकते  हैं .
  •     Apply करते वक़्त  Payee Name का  ध्यान  दें  : गूगल  ऐडसेंस  से  होने  वाली  income taxable है , इसलिए  जब आप  Payee Name डालें  तो  सजग  रहे , आप  यहाँ  जिसका  नाम  देंगे  उसी  के  नाम  से  income आएगी  और  उसी  को  tax देना होगा .  ये  भी  ध्यान  दें  की  आप  जो  भी  नाम डालें  ठीक  उसी  नाम  से  bank account भी  हो , spelling में अंतर  भारी  पड़  सकता  है .
  •     Blog पे daily कुछ  page views होने  चाहिए , कितने  ये  कहना  मुश्किल  है , पर  मेरा  मानना  है  कि कम  से  कम  रोज  के  2-3 हज़ार  page views तो  होने  ही  चाहिए .
  •     आपकी साइट  पर  बहुत  अधिक  broken links ना  हों ,
  •     आपकी साइट  पर  Privacy Policy, Contact Us, Disclosure page, etc होने  चाहिएं

पर  मैं  तो  Hindi में  blogging नहीं  करता  , मैं  क्या  करूँ ?

Hindi Bhandar पर  मैंने  एक  बार  “Passive Income के ज़रिये कमाएं पैसे!” post share की  थी . इसमें  मैंने  बिना  actively involve हुए  पैसे  कमाने  के  बारे  में  लिखा  था . Blogging passive income generate करने  का  एक  बहुत अच्छा  तरीका  हो   सकता  है. इसलिए  आप  चाहें  तो  Hindi में  एक  नया  blog शुरू  कर  सकते  हैं  और  धीरे -धीरे  इससे  अच्छी income generate कर  सकते  हैं .

पर  ऐसे  तो  मैं  पहले  भी  English में  blog शुरू  कर  के  कर  सकता  था  ?

हो  सकता  है  ये  question आपके  मन  में  आये  … दोस्तों  English में  आप  अभी  भी  blog शुरू  कर  सकते  हैं  पर  in all probability आप  English में  जो  कुछ  भी  करने  का  सोचेंगे  उससे  related हज़ारों  साइट्स  पहले  से  ही  मौजूद  होंगी  इसलिए  आप  चाह कर  भी  उतनी  value add नहीं  कर  पाएंगे  पर  Hindi के  मामले  में  ऐसा  नहीं  है . In fact मैं  भी  HB की  शुरुआत  करने  से  पहले  English में  एक  blog शुरू  किया  था , पर  जल्द  ही  मुझे  realize हुआ  कि मैं  जो  कर  रहा  हूँ  वो   पहले  भी  और  इससे  अच्छे  से  किया  जा  चुका  है  , इसलिए  मैंने  Hindi में  काम  करने  का  निश्चय  किया . इसका  मुझे  बहुत  फायदा  भी  मिला , आज  HB Motivatinal Hindi Stories और  Quotes की  सबसे  बड़ी  साइट  है  जिसे  हर  मैहीने  22 lacs से  अधिक  page views मिलते  हैं.  अगर  मैंने  English में  यही  काम  किया  होता  तो  हो  सकता  है  मेरी  earning ज्यादा  होती  पर  definitely मैं  इतने  लोगों  को  serve नहीं  कर  रहा  होता ….

Hindi blogging space अभी  शुरूआती दौर  में  है , बहुत  से  हिंदी  ब्लॉग्स  जो  हैं  भी  वे  शौकिया  तौर  पर  लिखे  जाते  हैं … आप  चाहें  तो  Hindi में  एक  professional blog शुरू  करके  Hindi readers के  लिए  कुछ  valuable create कर  सकते  हैं  एंड  in turn आप  अपने  लिए  एक  alternate या  primary source of income create कर  सकते  हैं . और  future में  India में  Net से  जुड़ने  वाले  ज्यादातर  लोग  ऐसे  होंगे  जो  English से  अधिक  Hindi या  अन्य  regional languages में comfortable होंगे , ऐसे  लोगों  को  अगर  उनकी  ही  भाषा  में  content मिलेगा  तो  definitely वे  ऐसी  sites पर  बार -बार  आना पसंद  करेंगे .

यदि  आप  Hindi  में  एक  High Traffic blog बनाने  की  सोच  रहे  हैं  तो  ये  पोस्ट  ज़रूर  पढ़ें  :
 

How To Make High Traffic Hindi Website or Blog

एडसेंस  अप्रूवल  मिल  जाने  के  बाद  क्या  सावधानियां  बरतें  ?

चूँकि  adsense आपके  monetization पोर्टफोलियो  का  एक ज़रूरी  हिस्सा  होगा  इसलिए  आप  पुरे  precautions लें  की  कहीं  गूगल  ऐडसेंस  आपका अकाउंट बैन न  कर  दे . कुछ  बातें  जो  आप  ध्यान  में  रख  सकते  हैं :
  •     कभी भी  अपने  आप  ads न  click करें , कुछ  चेक  करने  के  लिए  भी  नहीं .
  •     अपने friends या  किसी  से  भी  ad click करने  के  लिए  न  कहें .
  •     किसी और एडवरटाइजिंग नेटवर्क का ऐसा ad न  लगाएं  जिसे  adsense approve न  करता  हो
  •     जितने permitted हों  उससे  अधिक  ads न  लगाएं
  •     किसी ऐसी  site से  न  link करें  जो  allowed न  हों , जैसे  कि  gambling sites
  •     Ads को ऐसे  न  place करें  कि  लोगों  से  वो  अनजाने  में  click हो  जाएं .
  •     अपना ad code किसी  ऐसी  site पे  ना  लगाएं  जो  Adsense के  लिहाज  से  approve होने  के  लायक  न  हो
  •     Click Bombing से बचें , यानि  किसी  visitor के  जानबूझ  के  आपकी  site पर  कई  बार  ad click करने  से  बचें . अगर  आप  WordPress पे  हैं  तो  इसके  लिए  इस  plugin का  use कर  सकते  हैं .

अंत में सबसे सबसे  ज़रूरी  TIP : Google adsense से  related कुछ  भी  करने  से  पहले  उसके  बारे  में  internet पे  अच्छी  तरह  से  पढ़  लें , अंदाजे  पर  या  assume कर  के  कुछ  भी  ना  करें , याद  रखें  अगर  आपकी  गलती  से  account ban हो  जाता  है  तो  दुबारा  इसे  activate करा  पाना  बहुत  मुश्किल  है .

फ्रेंड्स, उम्मीद करता हूँ यहाँ दी गयीं जानकारियां आपके काम की होंगी। एक बार फिर आप सभी को गूगल एडसेंस द्वारा हिंदी को सपोर्ट करने की ढेरों बधाइयाँ ! चलिए हम इस अवसर का लाभ उठाएं और अपनी मातृभाषा को इंटरनेट पर भी समृद्ध बनाने में जुट जाएं।

Dosto., Ye post aapko kaisa lga., please apna feedback cooment me zarur de., or agar aapke pas bhi koi intresting valuble hindi post hai to hme email me bheje, hum aapke post ko HindiBhandar me shamil krenge.. Thank you. :) All the best !! 🙂

Wednesday, 12 October 2016