Saturday, 5 August 2017

Whatsapp hack hone se kaise bache(7 Tarike)

Shayad hi aisa koi smartphone user hoga jo whatsapp use nahin karta hai. Kai log sirf messaging karte hai to koi log bahut hi personal details bhi whatsapp par share karte hai. Unhe maalum nahin hai ki whatsapp hack ho sakta hai. Haanji. Whatsapp ko aap hack kar sakte hai. Yaha bataye gaye tips follow kare aur whatsapp kaise hack kare yeh jaane. 

Whatsapp hack hone se kaise bache(7 Tarike)

One Time Password (OTP) hack

Agar aap ne whatsapp use kiya hai to aap jaante hai ki aap ko pehle apna mobile number register karna padta hai. Register karte hi aap ko SMS milta hai jis ke undar ke details whatsapp mein daalna hota hai tabhi whatsapp account activate hota hai. Agar aap ko kisi ka whatsapp hack karna hai to us ke phone me aaye us SMS ko apne mobile mein transfer kar le.

# Kaise Bachaye Whatsapp SMS Hack se

  1. Aap ke saath aisa hone se bache rehne ke liye antivirus install kare.
  2. Aap ka mobile screen lock karke rakh de aur lock screen par sms notification off rakhe.    
  3. SMS app ko applock se lock kare. 


# Call Verification hack

Call verification paddhiti se aap whatsapp hack kar sakte hai. Kisi ka bhi mobile aap ke haath mein aajaana jaroori hai, bhale hi thode se minute ke liye hi sahi.
Kaise Bachaye Whatsapp Call Hack s.? 

    Is hack se bachne ke liye aap ko aap ka incoming calls lock karne ke liye incoming call lock app install kare. 

Spy Apps aur Screen Monitor

Spy apps kisi ke bhi mobile mein aap transfer kare to voh aap ko us mobile ke andar ki jaankari dega.

Kaise Bachaye Whatsapp ko Spy App Hack Se.?

    Is hack se bachne ke liye device ko root kare aur phir permission manager se aap yeh fix kare ki kaunse aap ko kaunsa permission de aur voh set kar de.
    Apne mobile ko antivirus aur antispyware se check kare.

Message backup hack

Whatsapp background mein on hai aur aap ke haat mein voh device agaya to aap sabhi message to email ya to phir google drive par upload kar sakte hai.

Kaise Bachaye Whatsapp Message Backup Hack Se.?

    Is hack se bachne ke liye Whatsapp ko hamesha on na rakhe.
  •     App lock ka istemal kare.
  •     Screen lock kar ke rakhe.
    Email ko check kare ki kisini ne koi email to send nahin kiya hai. 

Phone Remote control hack

Remote phone control ya desktop aap milte hai. Is ko download kare to doosre ke screen par kya chalta hai voh aap dekh sakenge. Is ke liye voh app dono device mein instal hua hona chahiye.

Kaise Bache Is Hack Se.?

    Is hack se bachne ke liye screen lock karde, preferably pattern lock se.
    Agar aap ke phone mein koi naya app install hua hai aisa jaane to use check kare aur remove kare.

Whatsapp Web hack

Abhi tak whatsapp mobile par hi chalta tha. Ab whatsapp web bhi launch hua hai. Computer mein web.whatsapp.com open kare. Ab mobile mein whatsapp launch kare aur us ka QR code scan kar le. Ab computer mein mobile mein whatsapp jo chalta hai voh dikhai dega.

Whatsapp Web Hack Se Bachne Ke Liye.?

Whatsapp web hack se bachne ke liye hume apne whatsapp application mai check karna hai ki kahi or to login nahi hai, agar hai to hume apne mobile se hi usko logout kar sakte hai.

Dosto., Ye post aapko kaisa lga., please apna feedback cooment me zarur de., or agar aapke pas bhi koi intresting valuble hindi post hai to hme email me bheje, hum aapke post ko HindiBhandar me shamil krenge.. Thank you. :)

Share this

0 Comment to "Whatsapp hack hone se kaise bache(7 Tarike)"

Post a Comment