Kitchen tips in hindi : Kitchen ko ghar ka heart maana gaya hai aur sahi mein bina kitchen ke ghar ghar nahin hota hai. Western countries me dekhe to kitchen kaafi bada hota hai jahan par dining table ho sakta hai aur is ke aas paas family members sabhi ekatrit ho ke shaam ko apas mein baat chit karte hai. Rasoi ghar me bhi paramparagat taur par sabhi sadasya baith ke bhojan karte hai. Vaastu mein bhi kitchen ke location ka aur us ke andar agni sthan ke liye clear cut directions hai.
Shehro ke apartments mein aaj kal kitchen sirf cooking ke liye suit ho aise chote chote banaye jaate hai. Fir bhi, kitchen me khaana pakta hai jo poore family ko swasth aur tandurast rakhta hai. Kitchen jitna well organized hoga, itna aap ko us par garv hoga aur kaam karne mein aasaani rahegi. Is ke alava thodasa jankari ho to aap ko aur bhi cooking ka anand uthayenge. Yahan par prastut hai kitchen tips in Hindi jo aap ko jaroor kaam mein ayenge.
Vastu tips for kitchen-
Shuru karte hai vastu tips for kitchen se.
1.) Vastushastra mein kitchen ghar mein north-east yaane ishan disha mein hona chahiye. Ishan agni sthan hai. Kitchen mein bhi agni sthan aise kitchen ke ishan jagah par rakhe aur jab rasoi karte ho to chehra east ki taraf hona chahiye. Chulha yane gas stove darwaja ke samne na ho is ka khayal rakhe.
1.) Vastushastra mein kitchen ghar mein north-east yaane ishan disha mein hona chahiye. Ishan agni sthan hai. Kitchen mein bhi agni sthan aise kitchen ke ishan jagah par rakhe aur jab rasoi karte ho to chehra east ki taraf hona chahiye. Chulha yane gas stove darwaja ke samne na ho is ka khayal rakhe.
2.) Kitchen vastu tips in Hindi me jaaniye ki cooking platform kitchen ke south east disha me ho aur platform L akar me ho jo south disha me ho aur is par oven, mixer, jaise appliance rakhe.
3.) Kitchen ke north east me wash basin ho jo gas stove se duri me ho.
4.) North-east side par paani ka matka rakhe.
5.) Khana banane ki samagri south ya west disha me rakhe.
6.) Dining table kitchen me rakhna ho to north-west ya west disha mein rakhe.
7.) East side par window rakhe.
8.) Din ke shuruat me jab bhi gas jalaye to agni dev ko kuch bhi offering kare.
9.) Kitchen ko hamesha raat ko bilkul saaf kar ke rakhe,koi bhi khadya padarth palatform me na ho aur kachra ho to bahar dabbe me daal de.
Yeh to mumkin nahin hai sabhi ko kyonki aajkal apartments mein log rehte hai aur sabhi kitchen is ideal position mein sthit nahin hote hai. Is ke liye vastu dosh nivaran prayog kare.
Kitchen tips and tricks in Hindi-
Kitchen me aap ko cooking se sambandhit kai aise karya karne padte hai aur alag alag prakar ke samagri handle karne hote hai aur process karne hote hai. In kitchen tips and tricks in Hindi se aap ka kaam aasaan ho jayega.
- Rasoi ghar me kaam karna hai to pehle head covering pehne aur apron pehne. Head covering se baal jhad ke khane me girne ki shakyata nahin rehti hai. Apron pehne to aap ke kapde par daag nahin lagenge.
- Rasoi ghar me light jyaada chahiye to khidki khuli rakhe aur light bhi bright ho aisa upyog kare.
Practical food preparation kitchen tips-
1.) Aata goothna hai to disposable gloves pehen ke kare to haath dhone ki jhanjhat nahin rehti hai.
2.) Roti naram banana hai to aata ko garam paani daal ke goothe.
3.) Roti tasty banana hai to aata mein doodh ya dahi daale.
4.) Halka fulka roti banana hai to ek-do chutki khane ka soda aate mein milaye aur tel bhi daale.
5.) Noodles ya pasta banaye to ubalte paani se nikal ke seedha thanda paani me daale to ek doosre ke saath chipkenge nahin. Thande pani me daal ke turant nikal de aur ek chamach tel ke saath bowl me toss kare.
6.) Bhale kam quantity me kuch bhi banana hai, jaise ki sirf ek cup chai, to bhi bada bartan le jo chauda ho. Is ke do fayde hai. Ek, yeh gas ka flame ka pura upyog karega aur energy efficiency badhega. Doosra, doodh ubal ke bahar nahin ayega aur jo kuch karna hai voh jaldi ho jayega.
7.) Lehsun chilna hai to tave par halka garam kar ke thanda kare.
8.) Chaval ubalte samay thodasa nimbu ka ras aur ek chamach ghee ya tel daale to daane alag rahenge.
9.) Alu ubalte ho to thoda namak dale paaniye to chilka asani se niklega.
10.) Fool gobhi pakate ho to thodasa doodh daal ke pakaye to rang nahin bigdega.
11.) Vegetables ka green color pakate samay maintain karna hai to thodasa nimbu ka ras chidke cooking waqt aur dhakkan na lagaye. Paani bhi kam se kam upyog kare.
12.) Chane aur aise sabut dal ko pakane ke pehle ek raat bhigona padta hai magar samay nahinhai to bilkul garam paani me bhigoye to ek ghante mein hee voh naram ho jayenge.
Practical food storage kitchen tips in Hindi-
- Dal, gehu aur anaj ko keedo se bacha ke rakhna hai to container me do-teen boond aerandi ka tel daal de.
- Chini rakhne ke jar mein 1-2 laung rakhe to keede nahin aayenge.
- Chinti ko door rakhne ke liye pyaj ghise platform par aur anya jagah par aur lal mirch chidak de. Borax ko bikher de chini ke sath masalne ke baad to chinti inhe leke apne ghar tak pahunchege aur borax un sab ko jad mool se nash kar dega.
- Lal mirch ke jar me ek hing ka tukda rakhe to us me fungus nahin hoga aur lambe samay tak mirch fresh rahega.
- Platform par nimbu ka chilka ghise
- Tulsi ke patte bikhra de aur tulsi ko bhi ghise alag jagah par to chinti, machar, keede nahin ayenge.
- Pyaaj ek saath kaat ke fridge me rakhna hai to paani ke bowl ke andar rakh ke store kare.
- Fridge me pyaj aur anya cheez rakhen to smelly ho jaata hai. Nimbu kat ke rakhe fridge me to smell nahin ayega.
- Season me fresh matar milte hai. Deep freezer me mahino tak rahenge magar store karne ke pehle ubalte paani me daale, ek minute tak rakhe, nikale, aur paani chan ke fir plastic ke bag me ya jar me rakh ke freezer me rakhe.
- Jitna jaroori hai itne hee samaan kharide aur turant upyog kar le. Lambe samay tak kuch bhi pada rahega to insects ko attract karega. Har ke samagri ko air tight container me rakhe, khulla na rehne de.
Bartan tips-
Naye bartan par ke sticker ko hatana hai to gar ke upar garam kar sakte hai magar color vala bartan hoga to is par asar ho sakta hai to aap petrol ka upyog kare.
Kitchen cleaning tips
Kitchen cleaning tips
Jaaniye kitchen cleaning tips in Hindi jo aap ko har roj kaam me ayenge:-
- Kitchen me hamesha hydrogen peroxide aur potassium permanganate rakhe. Fal aur sabji jo chilke ke saath khate hai, hare patti vali sabji jo kachcha khate hai to unhe jo paani me dhoye us pani me ek chamach hydrogen peroxide daale ya to 2-3 crystals potassium permanganate dale to pathogens aur keede nash honge.
- Raat ko sabhi kaam kaaj khatam karne ke bad, wash basin me bartan dhone ke baad, us me thodasa hydrogen peroxide or khane ka soda dale to pipe saaf honge aur bacteria ka nash hoga.
- Vinegar bhi kitchen me rakhe. Yeh bartan saf karne, platform saf karne me kaam ayega rasoi ke alava. Floor aur platform saaf karte samay paani me vinegar mila ke poche.
- Oil to na chahe to bhi har jagah fail sakta hai. Is ke liye kitchen me kapde dhone ka powder ka upyog kare. Paste bana ke oil vale jagah par lagaye aur ghise.
Yeh hai thodese kitchen tips and tricks in Hindi jo kaam me aayenge.
Dosto., Ye post aapko kaisa lga., please apna feedback cooment me zarur de., or agar aapke pas bhi koi intresting valuble hindi post hai to hme email me bheje, hum aapke post ko HindiBhandar me shamil krenge.. Thank you. :)
TAGS : #kitchen tips in hindi #kitchen tips and tricks in hindi #vastu tips for kitchen #किचन टिप्स और ट्रिक्स #kitchen cleaning tips in hindi #kitchen vastu tips in hindi #kitchen cleaning tips and tricks #house cleaning tips in hindi #indian kitchen tips and tricks #indian cooking tips in hindi #rasoi tips hindi me #kitchen cleaning tips and tricks
Kitchen Tips In Hindi : किचन/रसोई के लिए बेहतरीन टिप्स और ट्रिक्स - Hindi Bhandar >>>>> Download Now
ReplyDelete>>>>> Download Full
Kitchen Tips In Hindi : किचन/रसोई के लिए बेहतरीन टिप्स और ट्रिक्स - Hindi Bhandar >>>>> Download LINK
>>>>> Download Now
Kitchen Tips In Hindi : किचन/रसोई के लिए बेहतरीन टिप्स और ट्रिक्स - Hindi Bhandar >>>>> Download Full
>>>>> Download LINK